may 15th 09
hum ne socha tha, keh woh kabhi bhi nai aaey gi,
aghar hum usay bhool jaein.
magar woh aaie, hazaar baar aaie.
hur khuab main, hur cheez main sirif woh.
hum tau sharabi kababi loag hain hamara kia.
iss waqt mein koi aur, aur kal koi aur.
magar aaj raat neend na aaey gi.
inteha ka intezar... bhi guzar chuka hai.
woh na aaie, aur na woh aaey gi.
magar woh hai, hur jagha hai woh.
unn ki godh mei hamara sar para hai
unn keh hathon mein hamari dastaan
kaisay hain yeh loag. jin ko koi ehsaas nehin...
koi ehsaas nehin hai inn logon ko.
itney duur hai yeh insaanon se
kia mutlab hai iss kisam keh andaaz ka.
jaan jaati hai uun per,
lekin hum mehfil main mojuud nehin hongay
kaisa hai yeh andaaz aap ka. jo humain itni gehraai se kaat raha hai.
hai sir hai.
---
birdie
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
StatCounter
about us
escapades of the queer birdie & doggie
Categories
- adventures (1)
- blog (1)
- desi feminist (1)
- desi lesbian (2)
- escapades (1)
- incredible (1)
- india pakistan (1)
- lesbian (1)
- lgbt (3)
- mangoes (1)
- new year (1)
- queer (1)
- south asian (1)
- women of color (1)
0 comments:
Post a Comment